Muhammad Ali Jinnah manta tha ke ii India ke Muslim logan ka haq Nehru Report mein nai diya gaya. Uu ne 1927 mein Muslim logan ki demand ke 14 point mein pesh ki. Ii Jinnah ke 14 point kahe jaate hai. Jinnah ne ii point pesh kiye:
- India mein Federal government bane gi aur sobon ko kuch azadi di jaye gi.
- Saare sobon ko aik jaisi azadi di jaye gi
- Tamam qanoon tamam sobon ko munasib numaindgi de kar banaya jaye ga. Kam logon ko ziada numaindgi di jaye gi magr ziada logon ko kam logon mein ya thorre logon k brabar nai kiya jaye ga.
- Markaz mein Muslim logan ki numaindgi 1/3 se kam nai hogi.
- Communal logon ko alag numaindgi di jae gi jab tak k woh kisi k saath milna na chahein
- Ilaqe ki sarhadon ki tabdeeli se Muslim logon ko kam nai kiya jaye ga.
- Mukammal mazhabi azadi di jaye gi.
- Kisi group ke bare mein tab tak qanoon na banaya jaye jab tak k us group k 3/4 log uu qanoon ko maan na lein.
- Sindh ko Bombay Presidency se alag kar diya jaye.
- North West sobe aur Balochistan mein doosre sobon ke tarh qanoon banaya jaye.
- Muslim ke haq ko nazar mein rakh kar qanoon ke check kiya jaye.
- Qanoon mein Muslim culture, Prayer, izzat aur economic tahaffuz diya jaye. Muslim adaron k waste raqm band na ki jaye.
- Koi assembly aisi na banai jaye jis mein Muslim sadasya 1/3 se kam hoon.
- Agar India ki Federal government na mane to qanoon mein tabdeeli na ki jaye.